Thursday, July 8, 2010

Songs that I can listen to..............ANYTIME

Shikayat hai - Jism


Shikayat Hai Shikayat Hai Shikayat Hai
Mujhko Dil Se Yehi Shikayat Hai Shikayat Hai
Mujhko Dil Se Yehi Shikayat Hai Shikayat Hai
Jo Usko Mil Nahi Sakta
Jo Usko Mil Nahi Sakta Kya Uski Chaahat Hai
Mujhko Dil Se Yehi Shikayat Hai Shikayat Hai


Tukdo Tukdo Mein Mujhse
Roz Milne Wale Sun
Jab Mukammal Nahin Milna
To Koi Khwaab Na Bun
Tanha Tanha Hoon Mein
Mujhe Teri Zaroorat Hai
Mujhko Dil Se Yehi Shikayat Hai Shikayat Hai


Yeh Teri Zulfein Teri Aankhen
Uff Yeh Tera Pair Hai
Aur Khushboo Se Mehekta Hua
Yeh Gora Sa Badan
Jaanta Hoon Mein Lekin
Kisi Gair Ki Amanat Hai
Mujhko Dil Se Yehi Shikayat Hai Shikayat Hai


Bin Tere Mujhko Zindagi Se
Khauff Lagta Hai
Kishto Kishto Mein Mar Raha Hoon
Roz Lagta Hai
Is Liye Mujhko Apni
Zindagi Se Nafrat Hai
Mujhko Dil Se Yehi Shikayat Hai Shikayat Hai
Shikayat Hai Shikayat Hai Shikayat Hai





Maine Dil Se Kaha - Rog


Maine Dil se Kaha Dhoondh Lana Khusi
Na Samajh Laya Gam, Toh Ye Gam Hi Sahin,
Maine Dil se Kaha Dhoondh Lana Khusi
Na Samajh Laya Gam, Toh Ye Gam Hi Sahin,
Maine Dil Se Kaha................


Deewana Kaha Jaanta Hai, Khalish Hai Ye Kya Khala Hai
Saher Bhar Ki Khusi Se, Ye Dard Mera Pala Hai,
Jashn Ye Raas Na Aaye,
Maza Toh Bas Gam Mein Aaya hai.........
Maine Dil se Kaha Dhoondh Lana Khusi
Na Samajh Laya Gam, Toh Ye Gam Hi Sahin,


Kabhi Hai Ishq Ka Ujala, Kahin Hai Maut Ka Andhera,
Batao Kaun Bhes Hoga, Main Jogi Banu Ya Lootera,
Kai Chehre Hai Is Dil Ke,
Na Jaane Kaun Sa Mera............
Maine Dil se Kaha Dhoondh Lana Khusi
Na Samajh Laya Gam, Toh Ye Gam Hi Sahin,


Haazaro Aise Raaste The, Jo Tay Karne Chale The,
Rahein Magar Chal Padi Thi, Aur Peeche Hum Reh Gaye The,
Kadam Do Char Chal Paye,
Gire The Tere Dar Pe.............
Maine Dil se Kaha Dhoondh Lana Khusi
Na Samajh Laya Gam, Toh Ye Gam Hi Sahin,



 
Chamakte Chand Ko - Ghulam Ali



Chamakte Chand Ko Toota Hua Taara Bana Daala,
Chamakte Chand Ko Toota Hua Taara Bana Daala,
Meri Aawargi Ne Mujhko Aawara Bana Daala,
Chamakte Chand Ko Toota Hua Taara Bana Daala..................


Bada Dilkash, Bada Rangeen Hai Ye Sehar Kehte Hai,
Yahan Par Hai Hazaaron Ghar, Ghar Mein Log Rehte Hai,
Mujhe Is Sehar Ne Galiyon Ka Banjara Bana Daala
Chamakte Chand Ko Toota Hua Taara Bana Daala..................


Main Is Duniya Ko Aksar Dekh Kar Hairaan Hota Hoon,
Na Mujhse Ban Saka Chota Sa Ghar Din Raat Rota Hoon,
Khudaya Tune Kaise Ye Jahaan Sara Bana Daala,
Chamakte Chand Ko Toota Hua Taara Bana Daala...................


Yahin Agaaz Tha Mera, Yahin Anjaam Hona Tha,
Mujhe Barbaad Hona Tha, Mujhe Nakaam Hona Tha,
Mujhe Takdeer Ne Takdeer Ka Maara Bana Daala,
Chamakte Chand Ko Toota Hua Taara Bana Daala....................

No comments:

Post a Comment